Dekh,
Tere hi naam pe main likh raha yeh ganna aaj
Khali si kamrey mein hai gunzti teri aawaz
Kitne they khawab dono ne milkar sajae jaana, dafan saare karke usko dil main hain rakhein woh raaz
Raaton mein roj hain bhikarte leke teri yaad
Tootein hain taaron se zyada tere jaane ke baad
Jiska tha dar humein woh ho raha hai sach main ab
Lee jaa bass jaldi se dete maut ko hum kasmein ab
Galtiyan kya thi meri ab hi yehi khojta hun
Rehti hai khush tu itni kaise wohi sochta hun
Kaise v krke tujhe jana hi tha door mujhse, dard woh saare lekar Qismat ko kosta hun.
Agge tu badh gayi hai yeh v toh main janta hun
Akele rehta hun aur bheed se abb bhagta hun
Pata hai mujhe kabhi laut kar na ayegi tu phir bhi mandiron mein sar jhukaye tujhe mangata hun
Tujhe bhool na chahun
Par bhool na paaun,
Tu hi bata yeh kyun ?
Tujhe bhool na chahun
Par bhool na paaun,
Mili saja ye kyun ?
Tasveeren saari teri rakhi hai sambhal maine
Ki tujhe bhul gaya haan karta hun jothey bahane
Yaad main karta tujhe un akeli raaton mai phir kya hogayi hai zindagi kher tu v kya ye haal jaane
Labz nahi milte kitne baatein hai batane ko,
Tu esi khawab meri hai neend se jaga de jo
Jisse tu bolti thi door reh nashe se,
aaj teri saari yaad lie nashe mein pada hai woh.
Tujhe bhool na chahun
Par bhool na paaun,
Tu hi bata yeh kyun ?
Tujhe bhool na chahun
Par bhool na paaun,
Mili saja ye kyun ?