Fizaaon mein nasha sa hai
Na jaane kaise hua hai ye
Nigaahon se anjaane mein
Kya bin kahe kaha tune
Kyun hass raha hun mai bewajah
Kyun khila khila sa hai saara jahaan
Na mujhe pata na thi mujhe khabar
Hai teri adaaon ka hi asar
Haan tu hi bata kya karun bhala
Jo chadh gaya hai ye rang tera
Wo aankhein teri Wo teri hasi
Na chhodein kabhi bhi haan sang mera
Tujh bin adhoore saare
lagte nazaare kyun
Chahat hai kitni dil mein
Kaise kahoon
Saagar mein nadiya jaise
Ambar mein taaron jaise
Khone laga hun mai bhi
Saason mein teri aise
Zara sa tu bhi toh pass aa
Kyun bewajah hain yun hum judaa
Pukaare dil bhi hai kabse yun
Aa sun bhi le tu meri sadaa